jaane kyuuñ log ġham se Darte haiñ
ham to ālām meñ nikharte haiñ
jo ḳhushī ke sarāb meñ gum haiñ
vo ḳhushī se hī apnī marte haiñ
ġham bhī rakhte haiñ saath ḳhushiyoñ ke
zindagī meñ jo rañg bharte haiñ
TuuT jaate haiñ sab ġhamoñ ke hisār
motī ḳhushiyoñ ke jab bikharte haiñ
laakh ḳhushiyāñ unheñ mubārak hoñ
ham ġhamoñ se hī dil ko bharte haiñ
Duub jaate haiñ jo kināre par
vo kahāñ Duub kar ubharte haiñ
hālat-e-dil batā.eñ ham un ko
kaise din raat ab guzarte haiñ
khul hī jaate haiñ un pe aib-o-hunar
ā.īne se jo baat karte haiñ
aa.ina dekhtā hai hairat se
vo jis andāz se sañvarte haiñ
kyā bharosa hai zindagī kā 'asar'
roz jiite haiñ roz marte haiñ