Sabir Raza

tair-e-shauq giraftar nahin rah sakta

Sabir Raza

tā.ir-e-shauq giraftār nahīñ rah saktā
ye asīr-e-dar-o-dīvār nahīñ rah saktā
jabr hassās tabī.at par agar bojh bane
habs-ābād meñ fankār nahīñ rah saktā
ham agar sach ko zabānoñ pe sajā kar rakkheñ
phir safar ziist kā dushvār nahīñ rah saktā
tū bhī merī hī tarah hai maiñ tujhe jāntā huuñ
der tak tū bhī vafādār nahīñ rah saktā
rahnumā bāñTte phirte hoñ jahāñ ḳhvāb 'razā'
phir vahāñ koī bhī bedār nahīñ rah saktā
Top Urdushayar.com