atā-e-dard kī tarsīl nā-mukammal hai
hamārī zaat kī tashkīl nā-mukammal hai
hamāre rog meñ hai band kārobār-e-jahāñ
hamāre shahr meñ ta.atīl nā-mukammal hai
miTā nahīñ hai añdherā ġhamoñ kā duniyā se
nashāt-e-rūh kī qindīl nā-mukammal hai
ai āsmān tirā zulm muḳhtasar Thahrā
hamāre zabt kī tafsīl nā-mukammal hai
nahīñ hai ġhaur-talab arz-e-mudda.ā jab tak
tumhāre hukm kī ta.amīl nā-mukammal hai
nisār us pe 'razā' jab talak na ho paa.eñ
hamāre azm kī takmīl nā-mukammal hai