Sabir Raza

aaj basti mein teri saneha aisa dekha

Sabir Raza

aaj bastī meñ tirī sāneha aisā dekhā
ham ne har aañkh meñ biphrā huā dariyā dekhā
jaane ta.abīr ho ab kaisī ḳhudā ḳhair kare
raat phir ḳhvāb meñ khiltā huā ġhuncha dekhā
us ne pūchhā bhī nahīñ raah kī kyoñ dhuul hue
umr bhī baiTh ke jis shaḳhs kā rasta dekhā
jo pahāḌoñ se chale ziist kā sāmāñ le kar
ham ne har jharne meñ ik nuur kā dhārā dekhā
aa.ina kahne lagā kaan meñ chupke chupke
be-amal shaḳhs koī aur na tujh sā dekhā
phuul shāḳhoñ pe khile aap se aur phir na mile
mausam-e-hijr na kuchh tū ne bhī sochā dekhā
jaane kyūñ-kar vo pareshān sā rahtā hai 'razā'
jab bhī dekhā hai kisī soch meñ Duubā dekhā
Top Urdushayar.com