Haqeer Jahani

taKHliq-e-be-sabaat ka zarra-nazir hun

Haqeer Jahani

Pakistan

1965
taḳhlīq-e-be-sabāt kā zarra-nazīr huuñ
sāhil kī ret par koī likkhī lakīr huuñ
gardish hai zindagī mirī manzil-rasā nahīñ
masrūf‌‌‌‌-e-kār-koh-kan ik jū-e-shīr huuñ
māl-o-matā-o-sarvat-e-jāñ kuchh mirā nahīñ
haañ gardish-e-zamāñ ne dikhāyā faqīr huuñ
zindān-e-dahr hai mujhe ik qasr-e-dil-fareb
apnī hī ḳhvāhishāt kā aisā asiir huuñ
jitnā nikalnā chāhā thā utnā ulajh gayā
girdāb-e-zindagī kā maiñ yuuñ pā-e-gīr huuñ
mujh se jahāñ meñ aa.e aur aa kar chale ga.e
phir kyuuñ samajh rahā huuñ ki maiñ be-nazīr huuñ
achchhā huā ki yaad tū aayā hai āḳhirash
is be-ḳhudī meñ bhuul gayā thā 'haqīr' huuñ
Top Urdushayar.com