na hī zindagānī kamāl hai na hī maut merā zavāl hai
ki javāb jis kā na mil sakā mire zehn meñ vo savāl hai
jise ham samajhte haiñ marg hai vo to ik taġhayyur-e-hāl hai
jiye jis ke hijr meñ umr-bhar vo hī ek lamha visāl hai
faqat ik sarāb hai zindagī ki hasīñ sā ḳhvāb hai zindagī
mire ḳhvāb āñkhoñ se chhin ga.e to ye zindagī bhī muhāl hai
hai azal se yuuñ hī tū juuñ kā tuuñ mujhe rafta rafta guzār kar
ye hī silsila shab-o-roz kā ye jo gardish-e-mah-o-sāl hai
jo ho band aañkh to kyā ḳhabar hameñ saaf aane lage nazar
jise ham samajhte haiñ zindagī faqat ek ḳhvāb-o-ḳhayāl hai