Haqeer Jahani

ab kis ki justuju ho teri justuju ke baad

Haqeer Jahani

Pakistan

1965
ab kis kī justujū ho tirī justujū ke ba.ad
jachtā nahīñ hai koī tirī aarzū ke ba.ad
tark-e-vafā ke ba.ad hai tajdīd-e-iltifāt
misl-e-libās-e-kohna jo pahnā rafū ke ba.ad
karte haiñ bahkī bahkī sī bāteñ janāb-e-shaiḳh
aate haiñ aap hosh meñ sarf-e-subū ke ba.ad
lāzim nahīñ ki jañg-o-jadal se hī kaam leñ
ho jaa.e mas.aloñ kā jo hal guftugū ke ba.ad
dil apnā hī raqīb yuuñ hone lagā 'haqīr'
koī shaqī kabhī na rahā us adū ke ba.ad
Top Urdushayar.com