hai ik ġham-e-jahāñ to ġham-e-yār kam nahīñ
is muḳhtasar sī umr meñ āzār kam nahīñ
pahle kī tarah ab vo kahāñ nik.hat-e-chaman
garche ki rañg-e-ġhuncha-e-gulzār kam nahīñ
anqā hai ab ḳhulūs ki nāpaid hai vafā
duniyā meñ go ki husn ke bāzār kam nahīñ
qīmat to apnī jins-e-vafā kī lagā ke dekh
ham bhī dikhā.eñ zarf-e-ḳharīdār kam nahīñ
ik baar dard-e-dil kā masīhā to ban ke dekh
ham ibtilā-e-ishq ke bīmār kam nahīñ
behtar hai bazm-e-yār meñ ḳhāmosh hī raheñ
kahne ko rāz-e-jāñ dar-o-dīvār kam nahīñ
ab kyuuñ nahīñ hai terā vo tarz-e-bayāñ 'haqīr'
hālāñki terī sarvat-e-afkār kam nahīñ