mujh par aisī jafā kī kasrat kī
ki use ġhair ne malāmat kī
tum ko apne ḳhirām se matlab
Thokareñ khaa.e koī qismat kī
va.ada-e-vasl-e-sub.h us se karo
kaT sake jis se raat furqat kī
apnī bedād ko nahīñ kahte
merī fariyād kī shikāyat kī
ab kahāñ huur ḳhuld meñ vaa.iz
tū ne barbād yuuñ hī mehnat kī
haiñ jo duniyā kī ye parī-zādeñ
yahī hūreñ baneñgī jannat kī
tark-e-ishq aur maiñ ġhalat 'sālik'
kaun roke zabān ḳhilqat kī