Qurban Ali Salik Beg

mili na fursat jahan ho ghash se uThi jo kuchh bhi naqab-e-ariz

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
milī na fursat jahāñ ho ġhash se uThī jo kuchh bhī naqāb-e-āriz
magar samajhte nahīñ abhī tak tum apnā jalva hijāb-e-āriz
na dasht-e-aiman meñ zikr us kā na tuur hī par kabhī ye chamkā
na ho nazar meñ jo terā jalva to mehr ko duuñ ḳhitāb-e-āriz
tasavvur un kā hai mujh ko har-dam na shab ko taskīñ na chain din ko
hoī haiñ auqāt mere bilkul tabāh kākul ḳharāb-e-āriz
ḳhushī kī kasrat agar ho un ko to ban ke āñkhoñ meñ aa.eñ aañsū
ziyāda yaañ tak haiñ apnī had se na Thahre aariz meñ āb-e-āriz
ye rañg-e-bazm-e-adū to dekho ki laakh parde kiye haiñ haa.il
naqāb uThā.e vo go haiñ baiThe magar hai ġhairat hijāb-e-āriz
ilāhī merī jigar-fagārī raqīb sun kar unheñ sunā deñ
vo maslahat hī samajh ke aa.eñ dikhāne ko māhtāb-e-āriz
nazar fazā hai jahāñ hai jalva tumhārā ehsān sab pe hogā
uThāo aariz se tum jo parda to ghaT na jā.egī tāb-e-āriz
ye naam jis kā qamar rakhā hai mujhī se ik daaġh le gayā hai
samajh to dekho samajh rahā hai falak usī ko javāb-e-āriz
kahīñ ilāhī shab-e-judā.ī tamām hone ko aa ga.ī hai
numūd-e-sub.h-e-jazā ho shāyad ki maiñ ne dekhā hai ḳhvāb-e-āriz
huī ye hāl-e-zabūñ kī shohrat ki us ne ḳhajlat se muñh chhupāyā
banā hai rañg-e-shikasta merā bahut dinoñ meñ naqāb-e-āriz
na pūchho ham se ki kyā sabab hai siyāh rozī kā apnī 'sālik'
chamak rahā hai bahut dinoñ se adū pe vo āftāb-e-āriz
Top Urdushayar.com