Qurban Ali Salik Beg

girah lab pe jo muddaa ho gaya

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
girah lab pe jo mudda.ā ho gayā
vo dil meñ mire aabla ho gayā
samajhte haiñ vo farz is kī shikast
mirā dil bhī ahd-e-vafā ho gayā
kahūñ kyā na dekheñ jo merī taraf
taġhāful sharīk-e-hayā ho gayā
vo karte haiñ sun kar sitam aur bhī
mirā naala shukr-e-jafā ho gayā
qayāmat huī us kī raftār se
ye hañgāma hañgāma-zā ho gayā
bad-o-nek kā un pe kyā e'tirāz
jo chāhā kiyā jo kiyā ho gayā
shab-e-vasl hone kī hai ye dalīl
shab-e-hijr se din sivā ho gayā
asar sab khichā us kī guftār meñ
mirā naala bhī nā-rasā ho gayā
vo sūrat hai dilkash ki is zulm par
zamāna tirā mubtalā ho gayā
milā de jigar ko bhī dil meñ ḳhudā
ki ab shauq had se sivā ho gayā
ġham-o-ranj-o-hirmān-o-andoh ko
mirā siina mulk-e-baqā ho gayā
mohabbat meñ ilzām kyā dil ko duuñ
ye gumrāh thā mujh ko kyā ho gayā
hujūm-e-balā-hā-e-hijrāñ na pūchh
tujhe kyā jo kuchh ho gayā ho gayā
anal-ishq kahnā na aayā magar
ki mansūr anal-haq-sarā ho gayā
ye taqvā javānī meñ 'sālik' magar
bure vaqt meñ pārsā ho gayā
Top Urdushayar.com