maiñ huā zīnat-e-makān-e-qafas
dūd-e-afġhāñ hai sā.ebān-e-qafas
lo asīro karo bayān-e-chaman
aur mujh se suno bayān-e-qafas
zo.af se maiñ nazar nahīñ aatā
jaane sayyād mujh ko jān-e-qafas
tū samajhtā nahīñ mirī sayyād
maiñ samajhtā nahīñ zabān-e-qafas
aa ga.ī lab tak āh-e-ātish-bār
ab ḳhudā hai nigāh-bān-e-qafas
nahīñ aatī ḳhabar rihā.ī kī
tāl-e-bad hai pāsbān-e-qafas
kis kī fariyād ne hilā.ī zamīñ
kis pe TuuTā hai āsmān-e-qafas
'sālik' aane se maut ke hogā
fā.eda apnā aur ziyān-e-qafas