nālāñ nahīñ kuchh tire sitam par
aisī hī banī hai apne dam par
har daaġh par ek zaḳhm aayā
qātil kā ye sikka hai diram par
lo ahl-e-jahāñ naved-e-farhat
maa.il hai dil apnā aḳhz-e-ġham par
kaisī hī sadā muhīb aa jaa.e
naale kā gumāñ kareñ vo ham par
'sālik' se liyā hai tum ne dil muft
yaañ aur bhī bechte haiñ kam par