Qurban Ali Salik Beg

muztarib hun ab ye ji ki baat hai

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
muztarib huuñ ab ye jī kī baat hai
afv kiije be-ḳhudī kī baat hai
saikḌoñ ushshāq ke toḌe haiñ dil
kyā tumhārī nāzukī kī baat hai
kyā ajab pūchhe na koī hashr meñ
ek ye bhī be-kasī kī baat hai
jis fuġhāñ se māñgte the sab panāh
ab vo ik be-tāqatī kī baat hai
muddateñ guzrīñ visāl-e-yār ko
merī nazroñ meñ abhī kī baat hai
kahte haiñ anjām us kā maut hai
jis qadar ġham ho ḳhushī kī baat hai
iztirāb-e-shauq meñ kahnī paḌī
jo tirī āzurdagī kī baat hai
ai dil ummīd is se hai tāsīr kī
ye fuġhāñ hai yā valī kī baat hai
phirte haiñ ahd-e-vafā se ham koī
ye bhī tum se aadmī kī baat hai
sach kahā hai dil ko hai ik dil se raah
un ke lab par mere jī kī baat hai
ġhair se kuchh kah ke mujh se kahte haiñ
tum ko kyā matlab kisī kī baat hai
va.ada kyuuñ karte ho kah doge abhī
yaad kis ko hai kabhī kī baat hai
mujh pe vo hañgāma guzrā hai ki log
kal kaheñge aaj hī kī baat hai
dahr meñ 'sālik' ye phailā hai nifāq
dostī bhī dushmanī kī baat hai
Top Urdushayar.com