dil vo shai hai ki jo dekhe to khiche yaar ke saath
ye dukāñ vo hai ki chaltī hai ḳharīdār ke saath
ek dam-bhar ke liye ham na lagāyā thā gale
umr hī kaT ga.ī qātil tirī talvār ke saath
tāna-e-zulm-o-sitam lailā-o-shīrīñ pe abas
kyā kiyā aap ne ishq-e-dil-e-afgār ke saath
teġh chal niklī dam-e-qatl gale par mere
maiñ ne tashbīh jo dī abrū-e-ḳhamdār ke saath
hashr aġhyār kā shaddād ke hogā hamrāh
jhuuT kahtā huuñ to bas hashr ho aġhyār ke saath
na Dareñ ḳhuld meñ jaate hue jo rizvāñ se
us ke darvāze pe ruk jaa.eñ ḳhabar-dār ke saath
so ga.e baḳht shab-e-va.ada ye mujh se kah kar
kaun jaagā hai tire dīda-e-bedār ke saath
is qadar charb-zabānī nahīñ achchhī ai sham.a
bazm-e-jānāñ meñ zabāñ kaTtī hai guftār ke saath
hashr meñ zālim-o-mazlūm judā hoñge dareġh
haa.e vaañ bhī na rahe us but-e-ayyār ke saath
haa.e afsos hai 'sālik' kī javāñ-margī kā
ishq kī baat ga.ī us jigar-afgār ke saath