dil pe aafat aa.ī ab ik aan meñ
zulf kuchh kahtī hai us ke kaan meñ
saath is ke ġhair bhī aa jā.egā
kyuuñ ki us kāfir ko lā.ūñ dhyān meñ
qīmat-e-dil chāhiye bose ka.ī
aage jo aa.e tire īmān meñ
hai ye nafrat ġhair se laa.e nahīñ
rashk kā mazmūñ bhī ham dīvān meñ
pūchhtā kyā hai hamārī zindagī
jiite haiñ par maut ke armān meñ
taur marne ke na the 'sālik' tire
haañ magar rakhtā hai kyā insān meñ