Qurban Ali Salik Beg

ye kya lutf-e-shor-e-fughan rah gaya

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
ye kyā lutf-e-shor-e-fuġhāñ rah gayā
zamīñ rah ga.ī āsmāñ rah gayā
abhī nāma-bar ko ravāna kiyā
abhī kah rahā huuñ kahāñ rah gayā
tire lutf ne kī yahāñ tak kamī
jo pahle yaqīñ thā gumāñ rah gayā
mile ḳhaak meñ yuuñ ki mash.hūr hai
miTe yuuñ ki miTnā nishāñ rah gayā
vahī gardisheñ haiñ vahī chaal hai
sitam kaun sā āsmāñ rah gayā
rahī āshnā.ī faqat naam kī
vo naam āshnā-e-zabāñ rah gayā
maiñ vāmāñda aur kah rahā hai jaras
rahā jo pas-e-kārvāñ rah gayā
mirā naala barq-e-jahāñ-soz hai
agar yuuñ hī ātish-fishāñ rah gayā
bahut duur pahuñcheñ nigāheñ vale
vo parde meñ ab bhī nihāñ rah gayā
ye kāhil huuñ 'sālik' ġham-e-hijr se
vahīñ kā rahā maiñ jahāñ rah gayā
Top Urdushayar.com