Qurban Ali Salik Beg

chaak-e-jigar-o-dil ka jab shikwa baja hota

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
chāk-e-jigar-o-dil kā jab shikva bajā hotā
yūsuf kā zuleḳhā ne dāman to siyā hotā
sahtā huuñ sitam us ke ehsān hai duniyā par
gar maiñ na vafā kartā kyā jāniye kyā hotā
tum aur adū donoñ ik jaan do qālib ho
maiñ tum se agar miltā vo kyuuñ ki judā hotā
mahrūmī-e-tāle.a se hogā na ye din varna
maiñ tum ko dikhā detā gar roz-e-jazā hotā
yaañ tark-e-vafā mushkil tum kyuuñ ki sitam chhoḌo
jo kuchh na huā mujh se vo aap se kyā hotā
ai kaash tum aa jaate aġhyār hī ko le kar
kuchh umr to ghaT jaatī go rañj sivā hotā
karte haiñ vo chaar āñkheñ yuuñ mil ke qayāmat meñ
goyā ki hai fardā kā ab va.ada vafā hotā
dhoke meñ na rahnā thā yakbār na kahnā thā
kuchh lab pe gilā laate kuchh dil meñ rakhā hotā
hotī hai shab-e-va.ada jab yaas to maiñ dil se
nā-chār ye kahtā huuñ vo aate to kyā hotā
mai-ḳhāne se mai 'sālik' piite hue ghar jaanā
bāzār hai ye hazrat kuchh paas kiyā hotā
Top Urdushayar.com