haath meñ le ke na ḳhanjar baiThiye
qatl karnā hai to bas kar baiThiye
baar dar tak bhī nahīñ aur shauq ye
bazm meñ un ke barābar baiThiye
uThiye ai shor-e-fuġhāñ par is tarah
naqsh kī mānind dil par baiThiye
ho chukī tāzīm dushman kī kahīñ
ai ziyārat-gāh-e-mahshar baiThiye
zo.af taarī ho to kyuuñ kar loTiye
jaan muztar ho to kyuuñ kar baiThiye
ye koī daftar nahīñ sun lījiye
hāl-e-dil kahtā huuñ dam-bhar baiThiye
hazrat-e-dil kūcha-e-qātil kā azm
roī.egā sar pakaḌ kar baiThiye
ro.e jañgal meñ bahut ab jī meñ hai
ghar biThāne ke liye ghar baiThiye
khīñch maarā ek patthar baat meñ
us sanam ke paas patthar baiThiye
ḳhaak chhānī ishq meñ 'sālik' bahut
pīr-o-murshid koī din ghar baiThiye