Qurban Ali Salik Beg

kab hai manzur ki yun jins-e-dil-e-zar bike

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
kab hai manzūr ki yuuñ jins-e-dil-e-zār bike
par ye vo shai hai na bechūñ bhī to sau baar bike
lauh-e-murtad pe ye mahmūd ke likh denā thā
husn vo shai hai ki lete hī ḳharīdār bike
so hī jaave mire tāle.a ke barābar aa kar
kyā ho gar baḳht-e-adū bhī sar-e-bāzār bike
hoñ ḳhalish dost duā hai ki davā ke badle
yārab is ahd meñ dard-e-dil-e-bīmār bike
bik ke yūsuf ne ḳharīdā hai vo rutba ki na pūchh
ye hī biknā hai to ham muft hī sau baar bike
poshish-e-ka.aba se kyā kam hai agar dil par hai
chāhiye mere garebāñ kā har ik taar bike
dekh kar ashk-e-musalsal ko vo aañsū bhar laa.e
laakh motī ke evaz do dur-e-shahvār bike
jab vo ġhārat-gar-e-īmāñ hai to hairat kyā hai
dair meñ jubba bike ka.abe meñ zunnār bike
hai shab-e-vasl-e-adū aur zamāna mahjūr
kyuuñ na bistar ke liye gul kī jagah ḳhaar bike
kahte haiñ zulf meñ rakhne ko haiñ kuchh dil darkār
tālib us chiiz ke haiñ jo pas-e-dīvār bike
jaama ai dast-e-junūñ aur kahāñ se lā.ūñ
le rakhūñ mol agar dāman-e-kohsār bike
asar-e-garmī-e-raftār hai ye bhī merā
ki bayābāñ meñ bahut suukh ke ashjār bike
tum ho saaqī to ajab kyā hai ki maiḳhāne meñ
evaz-e-san.at-e-jam sāġhar-e-sarshār bike
ḳhauf hai ye dil-e-be-tāb na bar meñ aa jaa.e
ham na leñ mol jo vo turra-e-tarrār bike
ek bulbul rahe kis kis kī zuleḳhā.ī meñ
Dher phūloñ kā jab aa kar sar-e-bāzār bike
bār-e-isyāñ ko uThā.e hue phirtā kab tak
muft hī Taal duuñ 'sālik' jo ye ambār bike
Top Urdushayar.com