Qurban Ali Salik Beg

aan se zalim ka imtihan aur main

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
aañ se zālim kā imtihāñ aur maiñ
ye sitam tere āsmāñ aur maiñ
kabhī kahtā huuñ ab vo aate haiñ
kabhī kahtā huuñ vo kahāñ aur maiñ
be-qarārī dilā rahī hai yaad
haa.e vo terī shoḳhiyāñ aur maiñ
nahīñ suntā koī kisī kī jahāñ
ġham-e-hijrāñ kī dāstāñ aur maiñ
āḳhir aa hī ga.ī fuġhāñ lab par
zabt-e-rāz-e-ġham-e-nihāñ aur maiñ
charḳh bhūlā huā hai kyā gardish
yaar ke ghar meñ mehmāñ aur maiñ
kuchh kahe jaao kuchh sune jaao
tum se do-chār bad-gumāñ aur maiñ
vo galī aur rāt-bhar phirnā
dūr-bāsh-e-nigah yaañ aur maiñ
fikr-e-dushvārī-e-matālib meñ
ek bechāra rāzdāñ aur maiñ
aa.ine varna dekh lījiyegā
har jagah aap kā bayāñ aur maiñ
pūchh 'sālik' na merā ghar mujh se
rāt-din hai dar-e-butāñ aur maiñ
Top Urdushayar.com