bhuul kar bhī idhar nahīñ aatā
vo kabhī raah par nahīñ aatā
kis kā jalva nazar se guzrā hai
ki mujhe kuchh nazar nahīñ aatā
charḳh-e-gardish se thak gayā shab-e-hijr
din nikaltā nazar nahīñ aatā
bah gayā dil to ġham nahīñ ai chashm
kaam meñ kyā jigar nahīñ aatā
huuñ shab-e-vasl is qadar be-ḳhud
bīm-e-marg-e-sahar nahīñ aatā
kis galī meñ chalā huuñ marne ko
shauq meñ kuchh nazar nahīñ aatā
terā kūcha agar bahisht nahīñ
jā ke kyuuñ nāma-bar nahīñ aatā
pher denī chhurī to aatī hai
lutf-e-sayyād agar nahīñ aatā
nau-giraftārī-e-musībat dekh
ham ko naala bhī kar nahīñ aatā
dil ko kyā jaane kyā huā 'sālik'
chain kyuuñ rāt-bhar nahīñ aatā