achchhī nibhī butān-e-sitam-āshnā ke saath
ab ba.ad-e-marg dekhiye kyā ho ḳhudā ke saath
jab se vo sun chuke haiñ ki ham ḳhvāb meñ chale
nīchī nigāh bhī nahīñ karte hayā ke saath
yuuñ gumrahān-e-ishq haiñ rahzan ke saath ḳhush
goyā ki ho liye haiñ kisī rahnumā ke saath
māñgoñ duā-e-marg to āmīñ kahe adū
ab un kī bad-duā hai mire mudda.ā ke saath
yuuñ kahte haiñ ki tujh ko satā.e hī jā.eñge
goyā ki mujh ko ishq hai apnī vafā ke saath
ġhairoñ ne be-dilī se mirī paa.e mudda.ā
maiñ gum huā na kyuuñ dil-e-hasrat-fazā ke saath
sharminda-e-butāñ na hue laakh laakh shukr
'sālik' ḳhudā ne ham ko uThāyā vafā ke saath