Qurban Ali Salik Beg

rakho wo shewa na madd-e-nazar nazar mein rahe

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
rakho vo sheva na madd-e-nazar nazar meñ rahe
ki jis se rāz-e-mohabbat bashar bashar meñ rahe
chaman jo ban ke tirā rahguzar guzar meñ rahe
to naḳhl-e-tūr kā jalva shajar shajar meñ rahe
aziiz tar hai agar ho sarishk meñ tāsīr
latīf-tar hai jo āb-e-guhar guhar meñ rahe
udhar tamām kiyā āsmāñ ne apnā kaam
idhar phañse hue ahl-e-hunar hunar meñ rahe
vufūr-e-ġham se ye jī meñ hai roiye is tarah
na dil meñ haal na ḳhūn-e-jigar jigar meñ rahe
burī ḳhabar ho to is tarah nāma-bar kahnā
ki sidq-o-kizb kā shak be-ḳhabar ḳhabar meñ rahe
samajh ke ishq kar ai dil ki kyā nahīñ ma.alūm
jo sochte nahīñ naf-o-zarar zarar meñ rahe
uThāo qabr meñ bhī lazzat-e-ḳhalish tā-hashr
ḳhudā kare ki ḳhadañg-e-jigar jigar meñ rahe
vafā hamārī sitam aap ke kuchh aise hoñ
ki muddatoñ yahī charchā bashar bashar meñ rahe
shab-e-firāq milī tīra-rozgārī meñ
sahar guzar ga.ī aur ham sahar meñ rahe
ham un kī bazm meñ baiThe rahe va-lekin yuuñ
ki jaise rahrav-e-rāh-e-ḳhatar ḳhatar meñ rahe
khiche jo siine se naala to chāhiye ai dil
misāl-e-ma.anī-e-lafz-e-asar asar meñ rahe
shab-e-visāl kī yārab na raushnī kam ho
vo nūr-e-āriz-e-rashk-e-qamar qamar meñ rahe
tamīz ġham ko diyā thā falak ne aish itnā
ki jaise jalva-e-rañg-e-sharar sharar meñ rahe
hamāre qatl ko lo nāzukī se pahle salāh
abhī to ḳhanjar-e-zeb-e-kamar kamar meñ rahe
adā-e-sharm meñ lākhoñ ishāre haiñ 'sālik'
jhukī huī ye kisī kī nazar nazar meñ rahe
Top Urdushayar.com