ab to lab se na jā.egā aage
naale kā zor shor thā aage
dasht-e-ulfat meñ rahnumā kaisā
maiñ ne rahbar ko dhar liyā aage
dasht-e-ulfat hai garche duur vale
dil se kahtā huuñ ye rahā aage
bevafā.ī agar na kartī umr
ham dikhāte tumheñ vafā aage
vo ḳhushāmad hī meñ ga.e ghabrā
mujh ko kahnā thā mudda.ā aage
dekhnā jo na thā so dekh liyā
dekhiye dekhte haiñ kyā aage
ishq meñ de ke jaañ huī ye ḳhabar
aa gayā kuchh diyā liyā aage
sabr-o-hosh-o-ḳhirad ga.e dil se
merī āñkhoñ ke ghar luTā aage
marg-e-āshiq kī sun ke sab rūdād
pūchhte haiñ ki kyā huā aage
'sālik' aur mai-kashī ḳhudā kī panāh
kis qadar thā ye pārsā aage