Qurban Ali Salik Beg

dil jahan se uThae baiThe hain

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
dil jahāñ se uThā.e baiThe haiñ
sab ko dekhe dikhā.e baiThe haiñ
chāk-e-dāman ye kah rahā hai ki ham
dil ke TukḌe uḌaa.e baiThe haiñ
vo sar-e-bazm haal kyā pūchheñ
mere matlab ko paa.e baiThe haiñ
ab ajal kyuuñ ki aa.egī dekhūñ
vo ayādat ko aa.e baiThe haiñ
karte haiñ yuuñ duā ki ham goyā
haath asar se uThā.e baiThe haiñ
agar aate haiñ vo to aane do
ham bhī āñkheñ bichhā.e baiThe haiñ
us ke dil meñ asar kar ai girya
ġhair kyā ghar banā.e baiThe haiñ
us ke va.ade ko jānte haiñ ham
shaam se zahr khaa.e baiThe haiñ
dar se vahshat-zadoñ ko ḳhud na uThā
ye koī ek jaa.e baiThe haiñ
ab to lab tak bhī aa na ai naale
ham tujhe āzmā.e baiThe haiñ
tum bhī kar jaao pā.emāl ki ham
naqsh-e-hastī miTā.e baiThe haiñ
kis ko dekh ai hazrat-e-'sālik'
aaj kuchh muñh banā.e baiThe haiñ
Top Urdushayar.com