uThe aaj un se faisla kar ke
yā ḳhafā ho ke yā ḳhafā kar ke
us kī raftār se ġhanīmat hai
ki rahe hashr hī bapā kar ke
us sanam kī galī meñ jaatā huuñ
phir nazar jānib-e-ḳhudā kar ke
ġhair tak apnī baat pahuñchā.ī
us se iz.hār-e-mudda.ā kar ke
kar to leñ tark-e-ishq ham nāseh
par guzāreñge umr kyā kar ke
mujh pe jo chāhiye sitam kiije
par na aġhyār kā kahā kar ke
muft zillat uThā.ī 'sālik' ne
zikr is bazm meñ mirā kar ke