intihā sabr-āzmā.ī kī
hai darāzī shab-e-judā.ī kī
hai burā.ī nasīb kī ki mujhe
tum se ummīd hai bhalā.ī kī
naqsh hai sañg-e-āstāñ pe tire
dāstāñ apnī jubba-sā.ī kī
tum se kuchh mil ke ḳhush huā huuñ ki huuñ
dahr meñ hasrat āshnā.ī kī
hai fuġhāñ ba.ad-e-imtihān-e-fuġhāñ
phir shikāyat hai nā-rasā.ī kī
kyā na kartā visāl-e-shādī-e-marg
tum ne kyuuñ mujh se kaj-adā.ī kī
raaz khulte ga.e mire sab par
jis qadar us ne ḳhud-numā.ī kī
kitne aajiz haiñ ham ki paate haiñ
bande bande meñ lau ḳhudā.ī kī
rah ga.iiñ dil meñ hasrateñ 'sālik'
aa ga.ī umr pārsā.ī kī