Qurban Ali Salik Beg

jis qadar zabt kiya aur bhi rona aaya

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
jis qadar zabt kiyā aur bhī ronā aayā
ye tabī.at nahīñ aa.ī koī dariyā aayā
kaam kyā jazb-e-tamannā-e-zuleḳhā aayā
kārvāñ bhī chah-e-yūsuf hī pe hotā aayā
kūcha-e-yār meñ aa kar nahīñ jaatā koī
ye vo jā hai ki yahāñ jo koī aayā aayā
raat kyā jāniye kis tarah guzārī ham ne
apne va.ade pe shab-e-va.ada to achchhā aayā
aa ga.e aaj vo aġhyār ke bahkāne meñ
nahīñ ma.alūm burā vaqt ye kis kā aayā
kashish-e-shauq ne majbūr kiyā hai sau baar
maiñ to vaañ jaane kī har baar qasam khā aayā
haath donoñ na hue siine se ik jaa.e judā
maiñ chaman meñ dil-e-nāshād ko bahlā aayā
vaañ se ye shakl banā.e hue aayā qāsid
maiñ ne jaanā mujhe paiġhām qazā kā aayā
ham ne dar-parda bhī kī terī burā.ī na kabhī
shukr kah kar bhī na lab par koī shikvā aayā
va.ada-e-vasl pe qasmeñ to na khā ahd-shikan
bāvar aayā mujhe bas aur to aayā aayā
kah uThā aaj ki us but ko ḳhudā laa.e kahīñ
shukr hai lab pe mire naam ḳhudā kā aayā
fitne qadmoñ se lage rahte haiñ goyā har-dam
aap kyā aa.e ki ik majma-e-ādā aayā
ashk āñkhoñ meñ bhare lab pe fuġhāñ dāman-e-chāk
jo tamāshe ko gayā vaañ se tamāshā aayā
girye ko zabt kiyā ruk na sake naale aah
TukḌe ho ho ke mire muñh ko kaleja aayā
jis ne dekhā mujhe fariyād-kunāñ vaañ 'sālik'
rahm kaisā vo burā mujh ko hī kahtā aayā
Top Urdushayar.com