Qurban Ali Salik Beg

yun ayan tujhko dekhte hain hum

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
yuuñ ayaañ tujh ko dekhte haiñ ham
ki nihāñ tujh ko dekhte haiñ ham
nahīñ vā-dīd mā-sivā darkār
be-nishāñ tujh ko dekhte haiñ ham
ġhair kī vaañ nazar nahīñ jaatī
ab jahāñ tujh ko dekhte haiñ ham
dīdanī kuchh nahīñ zamāne meñ
jāvedāñ tujh ko dekhte haiñ
jaan dene pe kyuuñ na huuñ raazī
jāñ-sitāñ tujh ko dekhte haiñ ham
yuuñ kareñ ham ko pā.emāl adū
āsmāñ tujh ko dekhte haiñ ham
yuuñ vo gul-gasht ko chale aa.eñ
gulistāñ tujh ko dekhte haiñ ham
aaj apnā kahā sunā ho muaaf
nā-gahāñ tujh ko dekhte haiñ ham
aarzū go ki ek harf hai to
dāstāñ tujh ko dekhte haiñ ham
na kareñ ab kalīm se bhī kalām
ham-zabāñ tujh ko dekhte haiñ ham
ham aur aġhyār se gilā terā
bad-gumāñ tujh ko dekhte haiñ ham
aur karnā hai charḳh ko dushman
mehrbāñ tujh ko dekhte haiñ ham
us kā aanā yaqīñ hai kyā 'sālik'
nigarāñ tujh ko dekhte haiñ ham
Top Urdushayar.com