Qurban Ali Salik Beg

jo bhar len ek chuTki sahab-e-tasir miTTi ki

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
jo bhar leñ ek chuTkī sāhab-e-tāsīr miTTī kī
abhī sharminda-e-tāsīr ho iksīr miTTī kī
banā kar aadmī kyuuñ āb-o-gil meñ ishq ko Daalā
nikālī hai ḳhudā ne ye na.ī ta.azīr miTTī kī
hamārī qabr par bhī ik hujūm-e-be-kasī hogā
dikhā deñge pas-e-murdan tujhe tauqīr miTTī kī
zamīn-e-kūcha-e-dil-dār ne kyā paañv pakḌe haiñ
milī dīvāngān-e-ishq ko zanjīr miTTī kī
rahegā TuuT kar bhī ḳhāna-e-dil ālam-e-hasrat
use bhī aap samjhe haiñ magar ta.amīr miTTī kī
yahī miTTī hai jis se sab banā.e jaate haiñ yārab
butoñ meñ kyuuñ badal jaatī hai phir tāsīr miTTī kī
vo kushta huuñ ki rū-e-ḳhāk par bhī aa ga.ī surḳhī
ḳhushī se shakl badlī hai dam-e-takbīr miTTī kī
junūn-e-ishq meñ tere zamāna ḳhaak barsar hai
baḌhī hai in dinoñ tauqīr se tauqīr miTTī kī
zabāñ dī thī ḳhudā ne bolne ke vāste lekin
banāyā nāz-o-tamkīñ ne tumheñ tasvīr miTTī kī
kahāñ sail-e-havādis meñ patā ham ḳhāksāroñ kā
kahīñ Thahrī hai rū-e-āb par ta.amīr miTTī kī
musallat ḳhākiyoñ par kyuuñ kiyā hai charḳh ko yārab
na thā maqbūl uzr is kā to kyā taqsīr miTTī kī
vo kyā kyā ḳhaak uḌāte haiñ zabāñ par aa ke tū ne to
hamārī baat bhī ai nāla-e-shab-gīr miTTī kī
tum aa.e mere ghar kā zarra zarra ho gayā raushan
huī mehr-e-daraḳhshāñ se sivā tanvīr miTTī kī
uḌāne dete haiñ vahshat-zada tere koī din meñ
baḌhegī justujū ab sūrat-e-aksīr miTTī kī
vo aa.e ḳhaak uḌāne ko pas-e-murdan to hasrat se
hamārī ruuh kahtī hai zahe-taqdīr miTTī kī
banāyā us se hai dushman ko aur ham ko magar 'sālik'
kahīñ tauqīr miTTī kī kahīñ tahqīr miTTī kī
Top Urdushayar.com