Qurban Ali Salik Beg

meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai

Qurban Ali Salik Beg

Hyderabad, Telangana, India

1824-1880
mirī ḳhātir meñ saaqī kab tirā paimāna aatā hai
ki yaañ har-dam ḳhayāl-e-nargis-e-mastāna aatā hai
Thikāne justujū-e-yār meñ kis kis ke chhūTe haiñ
ki bulbul baaġh meñ aur bazm meñ parvāna aatā hai
shab-e-furqat uThā kar fitna-e-mahshar se kahtī hai
mujhe zulf-e-darāz-e-yār kā afsāna aatā hai
nikal kar aañkh se ġhā.eb nahīñ hote haiñ ye aañsū
isī paanī se bhartā umr kā paimāna aatā hai
ilāhī log kyuuñ ho ho ke ḳhush firdaus jaate haiñ
magar is baaġh se aage koī vīrāna aatā hai
dil-e-zār aur shast-e-yār meñ ik raah hai maḳhfī
ḳhatā ho kar bhī sīdhā nāvak-e-jānāna aatā hai
chalā huuñ ghar se uTh kar ka.abe kī jānib magar mujh ko
taraddud hai ki raste meñ mire mai-ḳhāna aatā hai
mujhe gardish meñ paayā daur-e-charḳh-e-barīñ kaahe
ki mere saath chakkar meñ mirā kāshāna aatā hai
ye raġhbat hai use aġhyār se jab sher kahtā hai
to mazmūñ bhī ḳhayāl-e-yār meñ begāna aatā hai
tire kūche meñ ho jaatā hai kyā insān par jaadū
abhī hushiyār jaatā hai abhī dīvāna aatā hai
gayā jo is ḳham-e-gesū meñ vaañ kā ho rahā 'sālik'
ye hairat hai salāmat kyuuñ ki phir kar shāna aatā hai
Top Urdushayar.com