vaa.iz milegī ḳhuld meñ kab is qadar sharāb
paanī ke badle piite haiñ ai be-ḳhabar sharāb
aamad meñ us kī mast hue kuchh ḳhabar nahīñ
saaqī hai kaun jaam kahāñ aur kidhar sharāb
us qulzum-e-gunāh meñ Duubā huā huuñ maiñ
jis meñ hai ek mauja-e-dāmān-e-tar sharāb
mastī meñ un ko lag ga.ī lau aur ġhair kī
denī shab-e-visāl na thī is qadar sharāb
iqrār-e-vasl aur vo mast-e-ġhurūr-e-nāz
aayā hai pī ke tū kahīñ ai nāma-bar sharāb
maiñ ek baar aañkh churā kar jo pī gayā
laayā na zaḳhm dhone ko phir chāragar sharāb
karnā thā mujh ko hiila shikast-e-ḳhumār kā
denī thī ḳhuub qabl-e-tulū-e-sahar sharāb
ruḳhsat kā hosh un ko na rahtā shab-e-visāl
kuchh bolte to ye ki dharī hai kidhar sharāb
'sālik' mile jo bazm meñ us kī to lutf hai
varna piyā hī karte haiñ ham apne ghar sharāb