Ezaz Ahmad Azar

in ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe

Ezaz Ahmad Azar

Punjab, India

1942
in ujḌī bastiyoñ kā koī to nishāñ rahe
chūlhe jaleñ ki ghar hī jaleñ par dhuāñ rahe
nero ne bañsrī kī na.ī taan chheḌ dī
ab rome kā nasīb faqat dāstāñ rahe
paanī samundaroñ kā na chhalnī se māpiye
aisā na ho ki saarā kiyā rā.egāñ rahe
mujh ko supurd-e-ḳhāk karo is duā ke saath
āñgan meñ phuul khilte raheñ aur makāñ rahe
kaaTī hai umr raat kī pahnā.iyoñ ke saath
ham shahr-e-be-charāġh meñ ai be-kasāñ rahe
'āzar' har ek gaam pe kaaTā hai sañg-e-jabr
hāthoñ meñ tesha sāmne koh-e-girāñ rahe
Top Urdushayar.com