Ezaz Ahmad Azar

daraKHt-e-jaan par azab-rut thi na barg jage na phul aae

Ezaz Ahmad Azar

Punjab, India

1942
daraḳht-e-jāñ par azāb-rut thī na barg jaage na phuul aa.e
bahār-vādī se jitne panchhī idhar ko aa.e malūl aa.e
nashāt-e-manzil nahīñ to un ko koī sā ajr-e-safar hī de do
vo rah-navard-e-rah-e-junūñ jo pahan ke rāhoñ kī dhuul aa.e
vo saarī ḳhushiyāñ jo us ne chāhīñ uThā ke jholī meñ apnī rakh liiñ
hamāre hisse meñ uzr aa.e javāz aa.e usuul aa.e
ab aise qisse se fā.eda kyā ki kaun kitnā vafā-nigar thā
jab us kī mahfil se aa ga.e aur saarī bāteñ hī bhuul aa.e
vafā kī nagrī luTī to us ke asāsoñ kā bhī hisāb Thahrā
kisī ke hisse meñ zaḳhm aa.e kisī ke hisse meñ phuul aa.e
ba-nām-e-fasl-e-bahār 'āzar' vo zard patte hī mo'tabar the
jo hañs ke rizq-e-ḳhizāñ hue haiñ jo sabz shāḳhoñ pe jhuul aa.e
Top Urdushayar.com