Shaukat Wasti

bikhre to phir baham mere ajza nahin hue

Shaukat Wasti

Multan, Punjab, Pakistan

1922-2009
bikhre to phir baham mire ajzā nahīñ hue
sarzad agarche mo.ajize kyā kyā nahīñ hue
jo rāste meñ khet na sairāb kar sake
kyuuñ jazb dasht hī meñ vo dariyā nahīñ hue
insān hai to paañv meñ laġhzish zarūr hai
jurm-e-shikast-e-jām bhī bejā nahīñ hue
ham zindagī kī jañg meñ haare zarūr haiñ
lekin kisī mahāz se paspā nahīñ hue
insāñ haiñ ab to muddatoñ ham devtā rahe
shakleñ nahīñ banīñ jo hayūlā nahīñ hue
Thahro abhī ye khel mukammal nahīñ huā
jī bhar ke ham tumhārā tamāshā nahīñ hue
har sar se āsmān kī chhat uTh nahīñ ga.ī
kab tajarbe meñ shahr ye sahrā nahīñ hue
'shaukat' dayār-e-shauq kī raunaq unhī se hai
jo apnī zaat meñ kabhī tanhā nahīñ hue
Top Urdushayar.com