jalā huuñ dhuup meñ ik shahr-e-rañg-o-bū ke liye
milī hai tishna-labī sair-e-āb-e-jū ke liye
tire badan kī mahak ajnabī sahī lekin
mire qarīb se guzrī hai guftugū ke liye
junūñ kā paas vafā kā ḳhayāl husn kā ġham
ka.ī charāġh jale ek aarzū ke liye
na āñsuoñ ke sitāre na qahqahoñ ke gulāb
koī to jashn karo apne māh-rū ke liye
na.e savāl na.e tajarbe na.e chehre
hazār moḌ haiñ ik merī justujū ke liye