mere lahje meñ mire zaḳhm kī gahrā.ī hai
raushnī raat ke āñgan meñ utar aa.ī hai
phir mujhe pyaar ke sāhil pe Thaharnā hogā
phir tire dil ke dhaḌakne kī sadā aa.ī hai
dar-o-dīvār pe kuchh aks utar aate haiñ
mere ghar meñ ajab andāz kī tanhā.ī hai
sirf phūloñ meñ nahīñ haiñ tere chehre ke rañg
māh-e-nau bhī tirī Thahrī huī añgḌā.ī hai
vo sabā sab jise āvāra kahā karte haiñ
tere āñchal kī mahak mere liye laa.ī hai
qahqaha-bār raho shola-e-ġham se na Daro
varna is shahr-e-hunar meñ baḌī rusvā.ī hai