chehroñ pe likhā hai koī apnā nahīñ miltā
kyā shahr hai ik shaḳhs bhī jhūTā nahīñ miltā
chāhat kī qabā meñ to badan aur jaleñge
sahrā ke shajar se koī dariyā nahīñ miltā
maiñ jaan gayā huuñ tirī ḳhushbū kī raqābat
tū mujh se mile to ġham-e-duniyā nahīñ miltā
zulf-o-lab-o-ruḳhsār ke aazar to bahut haiñ
TuuTe hue ḳhvāboñ kā masīhā nahīñ miltā
maiñ apne ḳhayāloñ kī thakan kaise utārūñ
rañgoñ meñ koī rañg bhī gahrā nahīñ miltā
Duube hue sūraj ko samundar se nikālo
sāhil ko jalāne se ujālā nahīñ miltā