Jazib Quraishi

jaan KHud-shanas ho to dua mein asar bhi hai

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940
jaañ ḳhud-shanās ho to duā meñ asar bhī hai
maiñ jal rahā huuñ tujh ko mirī kuchh ḳhabar bhī hai
shahr-e-gulāb meñ bhī koī DhūñDhtā rahā
vo dhuup jis meñ tere badan kā shajar bhī hai
vo aks huuñ ki mujh meñ tire ḳhāl-o-ḳhad nahīñ
tū merā aa.ina bhī hai ā.īna-gar bhī hai
sochoñ to zar-nigār se chehre bhī saath haiñ
dekhūñ to ye safar mirā tanhā safar bhī hai
maiñ bhī huuñ zaḳhm zaḳhm tire intizār meñ
ik shaam rahguzar mirā vīrān ghar bhī hai
kyā hai jo kam-nazar mujhe pahchānte nahīñ
chehra bhī hai mirā mire shānoñ pe sar bhī hai
ḳhushbū ke pairahan se ujāle ke jism tak
maiñ huuñ to phir salīqa-e-arz-e-hunar bhī hai
Top Urdushayar.com