Jazib Quraishi

charaghon ke bujhane ko hawa be-iKHtiyar aai

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940
charāġhoñ ke bujhāne ko havā be-iḳhtiyār aa.ī
gulāboñ kī mahak bikhrī to āvāz-e-sharār aa.ī
bagūloñ ne safar meñ āñdhiyoñ kā āsmāñ dekhā
magar ik fāḳhta apne shajar tak be-ġhubār aa.ī
jise tū ne ujālā jaan kar chehre pe likkhā thā
vahī shohrat tirī rusvā.iyoñ ke ham-kanār aa.ī
añdheroñ meñ mujhe ḳhud ik sitāra DhūñDne aayā
ki shahr be-hunar se ik sadā-e-e'tibār aa.ī
mirī āñkhoñ meñ jitne rañg the sab jal ga.e 'jāzib'
magar vo mujh se milne jab bhī aa.ī be-qarār aa.ī
Top Urdushayar.com