Jazib Quraishi

KHayal ban ke wo mujh mein utar bhi aata hai

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940
ḳhayāl ban ke vo mujh meñ utar bhī aatā hai
ki rafta rafta duā meñ asar bhī aatā hai
jise talāsh hai ḳhush-rañg ābshāroñ kī
vo zaḳhm zaḳhm badan le ke ghar bhī aatā hai
charāġh ban ke chamaktā huuñ sañg-rezo meñ
savād-e-shab mujhe aisā hunar bhī aatā hai
na jism-o-jāñ kā añdherā na rāstoñ kā ġhubār
jo tū mile to ik aisā safar bhī aatā hai
lahū lahū jo rahā pattharoñ kī bārish meñ
galī galī vahī chehra nazar bhī aatā hai
use bhī pyaar ke mausam pasand haiñ 'jāzib'
safar kī dhuup meñ jalne shajar bhī aatā hai
Top Urdushayar.com