Jazib Quraishi

dasht-e-dua mein tere parastar rah gae

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940
dasht-e-duā meñ tere parastār rah ga.e
sho.aloñ ke ābshār meñ gulnār rah ga.e
tere visāl-o-hijr ga.e to gayā magar
terī shabāhatoñ ke sab āzār rah ga.e
jin par tire gulāb se chehre ke aks haiñ
merī nazar meñ vo dar-o-dīvār rah ga.e
vo to amīr-e-shahr kī āġhosh meñ gayā
us kī galī meñ ā.ina-bardār rah ga.e
ham ne likhe hurūf-e-ġham-e-jāñ varaq varaq
paḌhne ko gesū-o-lab-o-ruḳhsār rah ga.e
zaḳhm-e-hunar ke chāhne vaale nahīñ rahe
ḳhush-rañg shohratoñ ke ḳharīdār rah ga.e
jalne lage badan to barasne lagā lahū
sūraj kī raah meñ rasan-o-dār rah ga.e
Top Urdushayar.com