ham apne dil kī dhaḌkan meñ ek tamannā laa.e haiñ
tujh se pyaar kī bāteñ karne duur kahīñ se aa.e haiñ
apnī āñkheñ rāhguzar haiñ apnā chehra patthar hai
tere va.adoñ ne bhī mujh ko kyā kyā ḳhvāb dikhā.e haiñ
tere āñchal kī chhāñv se shahr-e-junūñ kī dhuup talak
ḳhushbū ban kar bikhre ham ġhuncha ban kar murjhā.e haiñ
koī ujālā thā jo hamāre jism-o-jāñ se guzrā hai
kis ḳhurshed ne andhe ghar meñ apne aks uḌaa.e haiñ
taaza dhuup meñ jhiil kināre jab se tujh ko dekhā hai
'jāzib' ne ujle ujle rañgoñ ke ḳhvāb bichhā.e haiñ