jab tumheñ yaad kiyā rañj huā bhuul ga.e
ham añdheroñ meñ ujāle kī fazā bhuul ga.e
tum se bichhḌe the to jiine kā chalan yaad na thā
tum ko dekhā hai to marne kī duā bhuul ga.e
tere aañsū the ki be-dāġh sitāroñ ke charāġh
umr-bhar ke liye ham apnī sazā bhuul ga.e
ham ḳhayāloñ meñ tumheñ yaad kiye jaate haiñ
aur tum dil ke dhaḌakne kī sadā bhuul ga.e
pyaar meñ koī fasīleñ jo uThā.e bhī to kyā
tum to ḳhud lazzat-e-uslūb-e-vafā bhuul ga.e
kisī mahkī huī chhāñv meñ Thahar ke ham bhī
sañg-dil vaqt kā andāz-e-jafā bhuul ga.e
kitne nādān haiñ vo ahl-e-mohabbat 'jāzib'
jo har ik baat mohabbat ke sivā bhuul ga.e