Jazib Quraishi

sahra ki dhup mein bhi shajar dekhte rahe

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940
sahrā kī dhuup meñ bhī shajar dekhte rahe
kyā log the duā kā asar dekhte rahe
ham apne jism-o-jāñ ko ḳhizāñ meñ utaar kar
gulnār mausamoñ ke hunar dekhte rahe
bārish kī ādatoñ kā badalnā muhāl thā
jalte hue ham apne hī ghar dekhte rahe
jab bhī tire badan kī mahak ham-safar rahī
ham be-charāġh shab meñ sahar dekhte rahe
ik shahr-e-mah-vashāñ thā ki āñkhoñ ke saath thā
ham phir bhī terī rāhguzar dekhte rahe
'jāzib' meñ tere pyaar kī ḳhvāhish shadīd thī
'jāzib' ko ahl-e-naqd-o-nazar dekhte rahe
Top Urdushayar.com