sahrā meñ koī sāya-e-dīvār to dekho
ai ham-safaro dhuup ke us paar to dekho
jaltā huuñ añdheroñ meñ ki chamke koī chehra
mausam haiñ adāvat ke magar pyaar to dekho
daftar kī thakan oḌh ke tum jis se mile ho
us shaḳhs ke taaza lab-o-ruḳhsār to dekho
kyuuñ maañg rahe ho kisī bārish kī duā.eñ
tum apne shikasta dar-o-dīvār to dekho
kal shaam vo tanhā thā samundar ke kināre
kyā soch rahe ho koī aḳhbār to dekho
āñkheñ haiñ ki zaḳhmī haiñ badan haiñ ki shikasta
āshob-e-safar huuñ mirī raftār to dekho