Jazib Quraishi

jaan-soz ghamon ka kahin izhaar nahin hai

Jazib Quraishi

Kolkata, West Bengal, India

1940
jāñ-soz ġhamoñ kā kahīñ iz.hār nahīñ hai
zindāñ meñ bhī zanjīr kī jhankār nahīñ hai
har shaḳhs ke chehre pe hai kuchh aisī alāmat
jaise vo koī phuul hai talvār nahīñ hai
sab gahre samundar meñ khaḌe soch rahe haiñ
ham meñ koī sūraj kā parastār nahīñ hai
zaḳhmoñ kā lahū ho ki charāġhoñ kā ujālā
koī bhī mire shahr meñ bedār nahīñ hai
maiñ tujh se bichhaḌ kar yahī samjhā huuñ ki duniyā
dīvār to hai sāya-e-dīvār nahīñ hai
ḳhush-rañg zuleḳhāoñ ke bāzār meñ 'jāzib'
koī ġham-e-yūsuf kā ḳharīdār nahīñ hai
Top Urdushayar.com