maut aatī nahīñ qarīne kī
ye sazā mil rahī hai jiine kī
mai se parhez shaiḳh tauba karo
ik yahī chiiz to hai piine kī
tumheñ kahtā hai aa.ina ḳhud-bīñ
bāteñ sunte ho is kamīne kī
ho gayā jab se be-naqāb koī
sham.a raushan na phir kisī ne kī
chashm-e-tar aabrū tū paidā kar
yuuñ nahīñ bujhtī aag siine kī
ahl-e-duniyā se kyā badī kā gilā
ai 'tapish' tū ne kis se kī nekī