Shaikh Abdul Lateef Tapish

jaan aankhon mein rahi ji se guzarne na diya

Shaikh Abdul Lateef Tapish

jaan āñkhoñ meñ rahī jī se guzarne na diyā
achchhī dīdār kī hasrat thī ki marne na diyā
kyā qayāmat hai sitamgār bharī mahfil meñ
dil churā kar tirī duzdīda nazar ne na diyā
muddatoñ kashmakash-e-yās-o-tamannā meñ rahe
ġham ne jiine na diyā shauq ne marne na diyā
nāḳhudā ne mujhe daldal meñ phañsā.e rakkhā
Duub marne na diyā paar utarne na diyā
koī to baat hai jo ġhair ke aage us ne
shikva kaisā ki mujhe shukr bhī karne na diyā
ḳhaak ārām kī ḳhvāhish ho vatan se bāhar
jab hameñ chain 'tapish' apne hī ghar ne na diyā
Top Urdushayar.com